Skip to main content

15 March 2025 ka verdict

Mithun rashi walon ke liye din vyast aur thoda thakaane wala rahega.

Aaj Ka Din

Mithun rashi walon, aaj aapka din daud-bhaag mein beetega. Kabhi ghar ke kaam toh kabhi daftar ki zimmedariyan aapko uljhaye rakhengi. Kisi purane dost ka phone aa sakta hai jo aapko purani yaadein taza kara dega.

Parivar ke kisi sadasy ke sath vichar milane mein kathanai ho sakti hai. Agar koi yatra ya safar ka plan hai, toh usey talna hi theek hoga kyunki raste mein pareshani aa sakti hai. Khud ko calm rakhein.

Prem

Premi ya jeevan sathi ke sath ghumne ka program ban sakta hai, jisse aap dono ke beech nazdikiya badhengi. Avahit logo ke liye koi accha rishta aane ki charcha ho sakti hai.

Sehat

Mansik tanav ke chaley sar dard ya migraine ki samasya ho sakti hai. Jyada screen time se bachein aur kuch der khuli hawa mein tehein.

Career

Office mein naye projects mil sakte hain jinko pura karne ke liye extra effort lagana hoga. Business me agar koi naya partner banane ki soch rahe hain toh thoda wait karein.

Dhan

Aamdani theek thak rahegi lekin shauk ki cheezon par unnecessary kharcha ho sakta hai. Kisi ko bhi bina soche samjhe paisa udhar na dein warna fas sakta hai.

Savdhaan

Apne password aur important emails kisike sath share na karein.

Aaj ke upay

  1. 1

    Pahli roti gay ko dein aur mandir mein ghee ka diya jalayein.

  2. 2

    Harit moong ki daal kisi zarooratmand ko daan karein.

Aaj ka shubh sanyog

Hasta nakshatra ki sthiti aapki buddhi ko tezz karegi par bhram bhi badhayegi.

Aapka shubh rang hara aur shubh ank 5 rahega.

Apne gusse par kabu rakhein aur kisi ki buri baat ko dil par na lagayein.

Baaki rashiyon ka rashifal

Aksar puche jaane wale sawal

Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.

Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.

Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.

Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.