Skip to main content

15 March 2025 ka verdict

Kanya rashi walon ke liye din vyaktigat aur vyaparik morche par sachet rehne ka hai.

Aaj Ka Din

Kanya rashi walon, aaj khud par aur apne nirnayon par bharosa rakhna hoga. Halanki chandra ki sthiti theek na hone se man mein asamanjas ki sthiti bani rahegi. Ghar mein kisi baat ko lekar tanav ho sakta hai jise aap apni samajhdari se suljha sakte hain.

Kisi purane mitra se achanak mulaqat ho sakti hai jo aapko khushi degi. Lekin kisi naye kaam ki shuruwat karne ke liye aaj ka din uchyut nahi hai, isliye thoda intezar karein.

Prem

Partner ke sath samay bitane ka mauka milega lekin aapki koi baat unhe buri lag sakti hai. Shabadon ka chayan bahut soch-samajh kar karein.

Sehat

Skin allergy ya pet se judi choti-moti pareshani ho sakti hai. Bahar ka khana khane se poori tarah bachein.

Career

Office mein aapke kaam ki tarif ho sakti hai par piche se kuch log aapke khilaf shadyantra bhi rach sakte hain. Satark rahein.

Dhan

Dhan ki aawak normal rahegi lekin achanak kharche badhne se savings kam ho sakti hai. Kisi bhi naye project mein paisa lagane se bachein.

Savdhaan

Apne bank details ya pin number kisi ke sath bhi share na karein.

Aaj ke upay

  1. 1

    Pehli roti gay ko khilayein aur hari sabzi ka daan karein.

  2. 2

    Ganesh ji ko durva arpit karein aur modak ka bhog lagayein.

Aaj ka shubh sanyog

Hasta nakshatra ke chalte aapka dhyan kaam se bhatak sakta hai.

Aapka shubh rang rani pink aur shubh ank 5 rahega.

Apne man ko shant rakhein aur ishwar par vishwas banaye rakhein.

Baaki rashiyon ka rashifal

Aksar puche jaane wale sawal

Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.

Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.

Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.

Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.