16 March 2025 ka verdict
Din miljul kar nikalega, bas bhavuk hokar koi faisla lene se bachein.
Aaj Ka Din
Vrishabh rashi walo, aaj ka din aapke liye thoda samjhauta karne wala ho sakta hai. Agar ghar mein kisi baat par taanv-taanv ho rahi hai, toh aap chup rehkar mamla shant kar sakte hain. Office mein bhi apne kaam par dhyan dein aur idhar-udhar ki baaton mein apna dhyan na batne dein.
Safar par jaate samay apne saman ki khud zimmedari lein, chori ya gum hone ka dar ho sakta hai. Shaam ke samay parivar ke sath waqt bitane se thodi mansik shanti milegi. Phone par kisi purane dost ka achanak message aa sakta hai.
Prem
Love life mein pyar aur nok-jhok dono chalegi. Agar aap apne partner ko koi tohfa dena chahte hain toh aaj ka din badiya hai. Shadi-shuda jivan mein pati-patni ke beech ghar ke kharche ko lekar halki phulki charcha ho sakti hai.
Sehat
Gale mein kharash ya sardi-zukam ki shikayat ho sakti hai. Thande pani ya ice cream se aaj ke din door hi rahein. Subah thodi der tahlne se sharat me chusti bani rahegi.
Career
Office mein colleagues ka sahyog milne se ruka hua kaam aage badhega. Agar aap partnership mein business karte hain toh partner ke sath transparent rahein taaki galatfahami na ho. Salary time par na milne ki chinta thodi satayegi.
Dhan
Aarthik sthiti sthir rahegi lekin naye nivesh ke liye abhi samay thoda kamjor hai. Ghar ki marammat ya kisi purane bill ko chukane mein paise kharch ho sakte hain. Kisi ko bhi bina gaurantee ke paisa na dein.
Savdhaan
Kisi ki baton mein aakar apna nuksan na kar baithein, apni buddhi ka prayog karein.
Aaj ke upay
- 1
Mandir mein safed mithai ya cheeni ka daan karein.
- 2
Ghar ki saaf-safai khud karein aur purana kachra bahar fekein.
Aaj ka shubh sanyog
Chitra nakshatra ke chalte aaj aapke vichar thode badalte rahenge.
Aapka shubh rang safed aur shubh ankh 6 rahegi.
Apne gusse par kabu rakhein, sab theek ho jayega.
Baaki rashiyon ka rashifal
Aksar puche jaane wale sawal
Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.
Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.
Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.
Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.