26 December 2024 ka verdict
Khud par bharosa rakhein, halanki faisle lene me thodi duvidha bani reh sakti hai.
Aaj Ka Din
Tula rashi walon, aaj Chand aapki hi rashi me virajman hai, lekin phir bhi mansik taur par kuch uljanein bani reh sakti hain. Kisi mahatvapurna nirnay ko lene me apko samajh nahi aayega ki kya karein aur kya nahi. Vyapar me kuch naye vikalp samne aayenge par kisko chunein, ye tay karna mushkil hoga.
Ghar me kisi baat ko lekar chinta ka mahol ho sakta hai. Akelepan ya thakan ka ehsaas ho sakta hai. Sham ke samay kisi purane dost ka phone aane se man thoda behal jayega aur purani yaadein taza hongi.
Prem
Partner ka poora sahyog milega. Unka ek pyar bhara mesg ya call aapka pura din bana dega.
Sehat
Sar chakrana ya blood pressure ki choti shikayat ho sakti hai. Jyada tanaav lene se bachein.
Career
Office me aapki kabiliyat ki tarif hogi, par kisi sahyogi ki jaln ki wajah se aap thoda uncomfortable mehsoos kar sakte hain.
Dhan
Aamdani aur kharche me santulan banaye rakhna zaroori hai. Faltu ki cheezein kharidne se bachein.
Savdhaan
Kisi ajnabi par jaldi bharosa karke apne rajya ya personal baatein share na karein.
Aaj ke upay
- 1
Maa Lakshmi ko safed mithai ya kheer ka bhog lagayein.
- 2
Chinti ko aata aur chini milakar dalein.
Aaj ka shubh sanyog
Swati nakshatra ke karan man me vicharo ki aandhi chal sakti hai, thodi der dhyan (meditation) karein.
Aapka shubh rang gulabi aur shubh ank 7 rahega.
Apni antaratma ki sunein, wo aapko sahi rasta zaroor dikhayegi.
Baaki rashiyon ka rashifal
Aksar puche jaane wale sawal
Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.
Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.
Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.
Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.