Skip to main content

9 May 2024 ka verdict

Karyasthal par chunautiyan mil sakti hain, par aap apni mehnat se jeet jayenge.

Aaj Ka Din

Singh rashi ke jatakon ke liye aaj ka din mehnat se bhara rahega. Dasvein ghar ka Chand aur Shani ki drishti yeh sanket deti hai ki office mein kam ka bojh thoda zyada hoga. Boss ki ummeedon par khra utarne ke liye extra effots lagane padenge.

Ghar-parivar mein kisi bat ko lekar tana-tani ho sakti hai, jise aap apni samajhdari se suljha lenge. Shubh karya mein aane wali rukawatein ab door hongi.

Prem

Partner ke sath samay bitane ka mauka kam milega kyunki aap apne kam mein vyast rahenge. Shanti banaye rakhne ke liye unhe ek pyara sa message ya call zaroor karein.

Sehat

Jodon mein dard ya kamar ki takleef pareshan kar sakti hai. Zyada der tak ek hi jagah na baithein, beech-beech mein thoda chalte-phirte rahein.

Career

Karyakshetra mein competition kadi rahegi. Aapke sahakarmi aapke khilaf rathyantra rach sakte hain, isliye kisi par bhi aankh moond kar bharosa na karein. Apna kam poori zimmedari se poora karein.

Dhan

Aarthik sthiti sthir rahegi. Na toh bada nuksan hoga aur na hi koi bada fayda, lekin kharche niyantran mein rakhne honge.

Savdhaan

Apne gusse par kabu rakhein nahi toh bane banaye kam bigad sakte hain.

Aaj ke upay

  1. 1

    Subah Surya dev ko jal mein thoda gudh dalkar arpit karein.

  2. 2

    Aditya Hridya Stotra ka paath karein.

Aaj ka shubh sanyog

Rohini nakshatra aapke career mein nayi disha dikha raha hai.

Shubh rang narangi aur lucky anka 1 hai.

Himmat na harein, aapki mehnat rang layegi.

Baaki rashiyon ka rashifal

Aksar puche jaane wale sawal

Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.

Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.

Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.

Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.