12 August 2024 ka verdict
Aaj ka din sanyam aur samajhdari se chalne ka hai, jaldbaazi na karein.
Aaj Ka Din
Namaskaar pyare dosto! Somvaar ka din aur Shuklapaksha ki Ashtami tithi aapke jeevan mein kuch naye mod lekar aayi hai. Chandrama ki sthiti aapke saptam bhav mein hone se vyaparik sajhedari aur gharelu rishton par dhyan dena zaroori hoga. Halanki Shani ki drishti thodi rukawat de sakti hai, isliye kisi bhi bade faisle mein thoda thehrao rakhein.
Phone par koi aisi khabar mil sakti hai jo aapko thoda soch mein daal de. Office ke kaam mein agar kisi se anban chal rahi thi, toh aaj baat ko aage badhane ki bajaye shanti se niptana behtar rahega. Ghar-parivar mein kisi bade ki salah aapke bohot kaam aayegi.
Prem
Partner ke sath kisi baat ko lekar behas ho sakti hai, isliye zuban par lagaam rakhein. Agar aap single hain, toh naye rishte ke liye abhi thoda intezaar karna hi theek rahega.
Sehat
Pith ya kamar mein halka dard pareshan kar sakta hai. Subah thoda khichav wale vyayam karein aur pani peena kam na karein.
Career
Naukri mein boss ki baaton ko dhyan se sunein, bina wajah ki argumat se bachein. Vyapar mein naye order milne mein thodi deri ho sakti hai par kaam rukega nahi.
Dhan
Achanak kharche samne aa sakte hain jo aapka budget bigaad sakte hain. Kahi bhi paisa invest karne se pehle kisi visheshagya ki salah zaroor lein.
Savdhaan
Kisi par bhi aakh band karke bharosa karne se bachein.
Aaj ke upay
- 1
Subah snan ke baad Shivling par kachcha doodh aur jal arpit karein.
- 2
Kala ya neela kapda pehnane se bachein, safed rang ka prayog karein.
Aaj ka shubh sanyog
Vishakha nakshatra ka prabhav aapko thoda impatient bana sakta hai.
Shubh rang safed aur shubh ankh 2 hai.
Bholenath ki kripa se aapka din shubh aur mangalmay ho.
Baaki rashiyon ka rashifal
Aksar puche jaane wale sawal
Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.
Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.
Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.
Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.