Skip to main content

23 March 2025 ka verdict

Dhiraj se kaam lein, jaldbaazi me koi nirnay na karein.

Aaj Ka Din

Makar rashi ke dosto, aaj ka din thoda sangharsh purna ho sakta hai. Kaam ki jagah par ya parivar me kisi baat ko lekar tanaav ki sthiti ban sakti hai.

Bahar safar karte samay bahut savdhaan rahein, samann ki chori ya gum hone ka darr hai. Ghar ke kisi bade vyakti ki sehat chinta ka vishay ban sakti hai.

Prem

Dampatya jeevan me thodi nok-jhok ho sakti hai. Ek doosre ki bhavnaon ko samajhne ki koshish karein aur gusse se bachein.

Sehat

Jodo me dard ya ghutno ki samasya pareshan kar sakti hai. Thandi cheezon ke sevan se bachkar rahein.

Career

Kaam me rukawatein aane se man thoda vichlit hoga lekin himmat na harein. Senior se poora sahyog lene ki koshish karein.

Dhan

Aarthik mamle me hath thoda tang reh sakta hai. Kisi ko diya gaya paisa phasne ki aashanka hai, isliye naye nivesh se bachein.

Savdhaan

Ghar se nikalte waqt apno se bina baat ke behas na karein.

Aaj ke upay

  1. 1

    Shani dev ke mandir me sarso ke tel ka diya jalayein.

  2. 2

    Kalo kutto ko roti ya biscuit khilayein.

Aaj ka shubh sanyog

Chand ki sthiti ke chalte aaj aapko har kadam soch-samajh kar uthana hoga.

Aapka shubh rang neela aur shubh ankk 8 rahega.

Ye sam bhi beet jayega, bas apna hosla banaye rakhein.

Baaki rashiyon ka rashifal

Aksar puche jaane wale sawal

Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.

Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.

Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.

Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.