30 January 2025 ka verdict
Kharche badh sakte hain, gupt shatruo se savdhan rahein.
Aaj Ka Din
Kumbh rashiwalo, barahve bhav ka Chandradev thode achanak kharche aur yatrao ke yog bana raha hai. Videsh se judi ya dur-daras ke logo se phone par mahatvapurna charcha ho sakti hai. Kaam ki jagah par thodi chinta ya anjaana darr reh sakta hai, par yeh sirf aapka man ka vehem hai.
Akelepan ya shanti ki talaash mein kuch der dhyan lagana achha rahega. Parivar ka sahyog milega par kisi rishtedar ki baat se man thoda khajjal ho sakta hai. Raat ke samay neend puri lene ki koshish karein.
Prem
Partner ke sath thoda waqt bitana aap dono ke beech ki dooriyon ko mitayega. Unki koi baat aapko hurt kar sakti hai, isliye dil par lene ke bajaye use has kar taal dein. Single logo ko thoda aur intezaar karna pad sakta hai.
Sehat
Aankhon mein jalan ya sar dard ki shikayat ho sakti hai. Computer ya mobile screen ka use kam karein aur sone se pehle ankho ko thande paani se dhoyein. Puryapth neend lena zaroori hai.
Career
Multinational companies ya foreign clients ke sath kaam karne walo ke liye din vyast rahega. Office ki rajneeti se door rahein aur apne kaam par pura dhyan dein. Virodhi aapka kuch nahi bigad payenge.
Dhan
Hospital ya dawaiyo par ya fir kisi anichuk yatra par paisa kharch ho sakta hai. Aarthik maamle mein hath tang reh sakta hai, isliye budget banakar chalein aur fuzul kharchi se bachein.
Savdhaan
Kisi ko bhi bada udhaar dene se bachein aur anjan logo par bharosa na karein.
Aaj ke upay
- 1
Peepal ke ped ke niche sarso ke tel ka diya jalayein.
- 2
Kute ko roti ya biscuit khilayein.
Aaj ka shubh sanyog
Dhanishta nakshatra aapko man ki shanti ke liye adhyatm ki or prerit karega.
Lucky rang neela aur lucky number 4 hai.
Himmat na harein, yeh samay bhi nikal jayega aur achhe din aayenge.
Baaki rashiyon ka rashifal
Aksar puche jaane wale sawal
Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.
Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.
Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.
Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.