Skip to main content

30 April 2025 ka verdict

Kismat ka sath milega, par dhyan bhatakne se bachein.

Aaj Ka Din

Kanya rashi walo, navvein ghar ka Chand bhagya ko majboot kar raha hai. Aaj kisi lambi yatra ka yog ban sakta hai jo ki vyaparik ya dharamik ho sakti hai.

Padhai likhai mein vidhiarthiyo ka man lagega. Halanki Rahu aur Shani ki drishti ke karan thoda dhyan bhatak sakta hai, isliye focus banaye rakhein.

Prem

Prem sambandho mein vishwas badhega. Agar koi purana vivad chal raha tha, toh wo aapas mein baithkar sulajh jayega.

Sehat

Pairo mein dard ya thakan ho sakti hai. Raat ko sone se pehle pairo ki malish karein.

Career

Higher studies ya videsh se jude kaamo mein safalta mil sakti hai. Office mein naye project ki jimmedari mil sakti hai.

Dhan

Dhan aane ke raste banenge, par sath hi dharmik ya parivarik kaamo mein kharcha bhi hoga.

Savdhaan

Kisi doosre ki ladai mein bina wajah na kooden.

Aaj ke upay

  1. 1

    Ganesh ji ko durva aur ladoo ka bhog lagayein.

  2. 2

    Gau mata ko hari patti wali sabzi khilayein.

Aaj ka shubh sanyog

Rohini nakshatra aapko gyan aur samajh ki taraf le jayega.

Aapka shubh rang hara aur shubh ankh 5 rahegi.

Bhagwan par bharosa rakhein, sab accha hoga.

Baaki rashiyon ka rashifal

Aksar puche jaane wale sawal

Rashifal aapki Chandra rashi (janam ke samay Chandra jis rashi mein tha) ke hisaab se likha jaata hai. Agar aapko apni Chandra rashi nahi pata, toh free kundli calculator se janam kundli banakar dekh sakte hain.

Haan — rashifal roz subah IST ke hisaab se naye din ke grahon ki sthiti par banta hai. Isliye aaj ka rashifal kal se alag hoga; pichhle ya aane wale dinon ka haal date badal kar bhi dekha ja sakta hai.

Rashifal samanya margdarshan hai — ye aapki vyaktigat kundli (lagna, dasha, grah-bal) ko dhyaan mein nahi rakhta. Bade faislon ke liye poori kundli vishleshan karwana behtar rahega.

Bataye gaye upay saral paramparik sujhav hain — jaise daan, mantra-jaap ya kisi rang se doori. Inhe apni aastha aur suvidha ke hisaab se, shaant mann se karein; kisi bhi upay mein zabardasti ya andhvishwas ki zaroorat nahi.